0 comments Monday, 22 February 2016

Jinke didar ke liye taras rahe the hum,

Jinse milne ke liye the hum besabar,

Wo to nikle begairat,

Qki wo to the humare wajud se hi BEKHABAR....

0 comments Tuesday, 16 February 2016

Us khuda ke haton ka JADU ho tum,

din mai chamkta SITARA ho tum,

raat mai chandni jaisi ROSHNI ho tum,

meri dil main basi ek SHAYRI ho tum....

0 comments

Kabhi hum pe wo JAAN diya karte the,

jo hum kehte wo MAAN liya karte the,

aaj pas se ANJAAN banke guzar gaye,

jo dur se hume PEHCHAN liya karte the....

0 comments

Leke hum dusro ki hansi kya kare,

jo apni nahi wo khushi kya kare,

TANHA jine se behtar hai mar jaye hum,

jab saath tum nahi to ZINDGI jikar kya kare....

0 comments

Ansu aa jate hain ankhon main,

par labon par hasi lani padti hai,

yeh MOHABBAT bhi kya cheez hai yaaro,

jisse karte hai usi se CHHUPANI padti hai...

0 comments Thursday, 11 February 2016

Humein darr nahi lagta maut ki SACHCHAAI se,

Humein darr nahi lagta maut ki SACHCHAAI se,

darr to lagta hai CHAHNEWALON ki BEWAFAAI se....

0 comments Wednesday, 10 February 2016

Humaari Mohabbat se woh hamesha rahe ANJAAN, 

dil ki baatein samajh na sake woh NAADAAN,

ab bhi unhiko chahta hai dil aur ab bhi zinda hai dil ke ARMAAN, 

shaayad yahi hai Sachche Pyaar ki PEHCHAAN...

0 comments Friday, 5 February 2016

Wo dil hi kya jis mein PYAAR na ho,

Wo dil hi kya jis mein PYAAR na ho,

aur wo Mohabbat hi kya jis mein DEEDAAR na ho....

0 comments Thursday, 4 February 2016

BERAHEM woh insaan nahi jo kabhi kisike aage JHUKTA nahi,

BBERAHEM woh insaan nahi jo kabhi kisike aage JHUKTA nahi,

BERAHEM to WAQT hai jo kabhi kisike liye RUKTA nahi....


0 comments

KHUDGARZ woh insaan nahi jo kabhi kisiko DHOKA nahi deta,

KHUDGARZ woh insaan nahi jo kabhi kisiko DHOKAA nahi deta,

KHUDGARZ to WAQT hai jo maasum aur anjaan insaanon ko sambhal ne ka MAUKAA nahi deta....

0 comments

Humein dekhkar NAZREIN na CHURAAYA karo,

Humein dekhkar NAZREIN na CHURAAYA karo,

aapki tarah hum bhi to insaan hai,humein bhi dekhkar MUSKURAAYA karo....

0 comments

Unke INKAAR se humein koi GHAM nahi,

Unke INKAAR se humein koi GHAM nahi,

kyunki BADKISMAT to hai wo khud ke unke NASEEB mein HUM nahi....

0 comments

Aap to SAUDAGAR ho ek aise Bazaar ke jahaan sirf NAFRAT BIKTI hai,

Aap to SAUDAGAR ho ek aise Bazaar ke jahaan sirf NAFRAT BIKTI hai,

phir kyun aapki aankhon mein humein apne liye MOHABBAT DIKHTI hai...

0 comments

Waqt ki kadar karne ko kehta hai ZAMAANA HUM se,

Waqt ki kadar karne ko kehta hai ZAMAANA HUM se,

phir kyun ye ZAMAANA khud pareshan hai waqt ke SITAM se...

0 comments Wednesday, 3 February 2016

Agar Pyaar ki raah par chalnewalon ka buland ho HAUSLA,

Agar Pyaar ki raah par chalnewalon ka buland ho HAUSLA,

toh mit sakta hai manzil tak pahuchane ka FAASLA....

0 comments

Sachche Pyaar ko thukraana aksar nafrat karnewalon ki FITRAT hoti hai,

Sachche Pyaar ko thukraana aksar nafrat karnewalon ki FITRAT hoti hai,

magar nafrat ko pyaar mein badalna aksar pyaar karnewalon ki HASRAT hoti hai

0 comments

Kisi ki saansey ruk jaane se waqt RUKTA nahi,

Kisi ki saansey ruk jaane se waqt RUKTA nahi,

zamaane ke jhukadene se sachcha Pyaar JHUKTA nahi....

0 comments

AGAR Pyaar karnewale is Duniya mein na hote MAUJOOD,

AGAR Pyaar karnewale is Duniya mein na hote MAUJOOD,


toh mit jaata nafrat karnewalon ka bhi WAJOOD.....

0 comments

GHAM ke samundar mein doobi hai Zindagi Kuch is KADAR,

GHAM ke samundar mein doobi hai Zindagi Kuch is KADAR, 

ke khushiyon se bhare kinare dekhne ko taras gayi hai NAZAR......